khan_amer
Sep 30 2006, 02:58 PM
Sawal yeh hay kay yeh Silsila ya aisay projects hamaray yahaaN kyoN jari nahi rehtay ya kyoN shoRoo nahi hotay... meri nazr maiN iss key bunyadi wajaah yeh hay:
1) pehlay din say hi ham logo Scope of Operation/Work muta'en nahi kertay.
2) ChooNkay Scope clear nahi hota, iss liya koy Org. Structure bhi nahi hota
3) iss wajaah say in logooN ko apnay apnay areas/daira.kaar ka pata nahi hota
Mukhtasaran aisay projects amooman bd.nazmi ka shikar ho ker khatam ho jatay haiN
JC kay column ko hi agr daikhaiN tu unhooN nay shoro'waat say bataya hay keh pehlay tanzeem nay sirf mehdood paymanay per kaam shoroo kiya.. once un ka naam howa tu daira'kar ahista ahista phailnay laga... yehi un key kamyaabi key wajaah hay....
hamaray haaN culture thoRa mukhtalif hay as every one is leader. and to many cooks spoils the dish and too many leaders spoil the nation. yehi ham per khabt tari hay.. hamaray yahaaN agr daiRh EinT key masjid bananay walay kam ho jayaiN tu aisay projects kamyaab bhi ho saktay haiN.
Well eak dafa EDHI ka tareeqa-e-kaar aur woh kaisay shoroo howay kay baray maiN eak article kisi akhbaat maiN paRha tha.. unhooN nay bhi apna kaam pehlay apni gali say shoroo kiya aur muhalay maiN aur phir illaqay maiN aur phir city maiN aur phir soobay maiN phay'laya.... issi liya kamyaab rahay...