aur khud banatay hien ya kay dosarON kay haath ka psand hay?
Abdullah
Sep 30 2006, 03:12 PM
Khanay ki batain Aftar kay baad karain gay
*Kainaat*
Oct 1 2006, 03:19 PM
Nashta.......... kis zamany ke baat kertay ho
kab se nashta nahi kiya iss liye sehi yaad nahee
Lekin itna yaad hai... Tea chaye peetay thay hum morning meen
seemaf
Oct 1 2006, 09:55 PM
Assalam-o-ALaikum!!
Chalain ji ab to iftar ho chukar hai to reply kardetey hain ... Pasandeedah nashta .. jo aam routine se thora hat kar ho
Roz to khud hi banatey hain so wohi achha lagta hai
barish aur gulab
Oct 1 2006, 11:23 PM
Garam Garam Kulchay
(isey aap loog kulcha heee samjhie.n qiyoo.n arey baba kulchey ka image jo nai mila to dekhana to tha na k mujhe kis ka nashta pasand hi)
Makhun
Adh Rirka k ijza'a
Dahi
Doodh
phir zara garha wala doodh matlub kareem shareem jee
baroos (elders) & bachoos (children) yeee cheez jo ab maein adh rirkey mei.n dalti hoo.n ye zara mehngi hoti hi bazaar mei.n tooo iss liye maei.n isey ghar pe hee bana leti hoo .n
baraf
Dahi doodh Carnation Milk aur Barf daal ker ruj k isko phaintei.n nai soory soory mera matlub hi blender mei.n daal ker in blend ker lei.n
Side Effects
isey p k aap teen chaar ghantey a'araam se soo(C leep(sleep) saktey hei.n
Abu Adnan
Oct 2 2006, 10:35 AM
yeh maahay ramzaan maiN naashtay ki bhi khoob soojhee hai.
jiss pass rozah khol kay khanay ko kuch nah ho woh 'sahera' naashtah nah khaye to aur kia karay
(ghalib ki rooh say maazrat k saath)
aaireykhushi
Oct 5 2006, 12:05 AM
breakfast
woh toh main uthti hi aise time pe hon api ke khana ki tayariya start hoti hein
toh direct khana hi khajati hon
but jab bhi breakfast karti hon buht sahi se karti hon
anda paratha ya phir sandwitch
and yeh buht zarori hotaa hai ke aap breakfast karein roz
kuch log yeh samajhte ke isse mote hote hein but woh yeh nahe jante ke smart rehne ki
sabse bari wajah breakfast hai its imp for health and day
Abu Adnan
Oct 5 2006, 08:02 AM
tafannun bar taraf yaani joke apart
1. naashtah achchee tarah aur sair hokar khanaa chaahiyeh.... balkay khanay (meal) ki tarah khanaa chaahiyeh.
2. zohrana (lunch) light khanaa chahiyeh ... jaisay hum log naashtah kartay haiN ... balkay bharpoor naashtay ki soorat maiN lunch gol bhi kia jasakta hai... hakeem saeed marhoom to lunch k qaa'il hi nah thay... woh sari omer 2 waqt subah shaam khayaa kartay thay.
3. dinner full sair hokar naheeN khanaa chaahiyeh. aur sonay say kafi pahlay khanaa chahiyeh.
magar deger trends ki tarah ham logouN ki eating habits bhi tabaah o barbaad aur bilkul olaT hochuki hai ... naashtah bilkul light yaa gol kar jatay haiN... lunch hulka aur raat ka khanaa DuTT kar bhookouN ki tarah khatay haiN... bilkhasoos parties ki soorat maiN........ result saamnay hai.... doctors ameeeeeeeeer tar hotay jarahay haiN aur awaam ki sehat kharaaaaaaaaaaab tar....
aaireykhushi
Oct 5 2006, 08:10 AM
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 5 2006, 08:02 AM) [snapback]2187324[/snapback]
tafannun bar taraf yaani joke apart
1. naashtah achchee tarah aur sair hokar khanaa chaahiyeh.... balkay khanay (meal) ki tarah khanaa chaahiyeh.
2. zohrana (lunch) light khanaa chahiyeh ... jaisay hum log naashtah kartay haiN ... balkay bharpoor naashtay ki soorat maiN lunch gol bhi kia jasakta hai... hakeem saeed marhoom to lunch k qaa'il hi nah thay... woh sari omer 2 waqt subah shaam khayaa kartay thay.
3. dinner full sair hokar naheeN khanaa chaahiyeh. aur sonay say kafi pahlay khanaa chahiyeh.
magar deger trends ki tarah ham logouN ki eating habits bhi tabaah o barbaad aur bilkul olaT hochuki hai ... naashtah bilkul light yaa gol kar jatay haiN... lunch hulka aur raat ka khanaa DuTT kar bhookouN ki tarah khatay haiN... bilkhasoos parties ki soorat maiN........ result saamnay hai.... doctors ameeeeeeeeer tar hotay jarahay haiN aur awaam ki sehat kharaaaaaaaaaaab tar....
100% correct said bhai
but yeh sab sirf do wajoohat ki binah pe huwa
cuz nr 1:der se uthna cuz nr 2:jaldi ghar se nikal janah
or haan kuch bewaqoof log yeh bhi samajhte hein ke isse mote hote hein
inme 80% tadaad Auntiyon[ladies]ki hoti jo ghalat maloomat ki binah pe nashta bilkul chor deti
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.