achi baat hay na...nahi toh logoN nay ab mehangay mobiles ki jagha sastay mobile rakhna shuru kar diye thay
Abu Adnan
Oct 1 2006, 02:05 PM
QUOTE(sahera @ Oct 1 2006, 01:52 PM) [snapback]2185498[/snapback]
achi baat hay na...nahi toh logoN nay ab mehangay mobiles ki jagha sastay mobile rakhna shuru kar diye thay
shayad issi wajah say yaani mahangay phone ki sales kam honay ki wajah say onhouN nay pressure Daalaa ho ... warnah yeh kaam to pahlay bhi hosakta thaa.... magar ab bhi iss maiN aik pakh laga dee gayee hai .... customer ko stolen mobile ki report k saath apna ID card number, ghar ka pata etc bhi dena hoga aur local police aap k pass pahonch kar aap say yeh TASDEEQ karegi k waqe'ee aap ka mobile chori howa hai yaa naheeN....
police ki tasdeeq par hi phone block kia jayega.... aur police ... sab hi jaantay haiN muft maiN to tasdeeq karnay say rahi... yani police ki kamayee ka aik aur zariyah khul gaya
muskan_kaun
Oct 2 2006, 09:36 PM
informative Post.. buss main abhi apna IMEI number leti hoon (*#60#) par ya to dassain ya IMEI number dete waqat kitna paisa katain gay?
QUOTE(sahera @ Oct 1 2006, 01:52 PM) [snapback]2185498[/snapback]
achi baat hay na...nahi toh logoN nay ab mehangay mobiles ki jagha sastay mobile rakhna shuru kar diye thay
Sahi Kaha
Abu Adnan
Oct 3 2006, 08:13 AM
QUOTE(muskan_kaun @ Oct 2 2006, 09:36 PM) [snapback]2186277[/snapback]
informative Post.. buss main abhi apna IMEI number leti hoon (*#60#) par ya to dassain ya IMEI number dete waqat kitna paisa katain gay? Sahi Kaha
balance say to koi paisa naheeN kaT.ta.... yeh number set k packing walay dabbay par bhi hota hai............ stolen set ki reporting k waqt aap ko apna naam (asli wala ), NIC number (NADRA wala) sim card number (phone number), ghar ka pataa (apnay hi ghar ka) bhi darj karwana hoga ............ aur shaneed hai k local police station ka koi bandah aap k ghar akar aap say yeh tasdeeq karega k waqe'ee aap ka cell chori howa hai... oski TASDEEQ par hi set block hoga.......... yeh kaheeN naheeN bataya gaya k police walay ka RATE kia hoga, mera khayaal hai k woh set ki maaliaat k hisaab say apna rate vary kartay rahengay.....
waisay yeh police ki tasdeeq wala system khatam hona chahiyeh warnah log report hi nahee karayengay. coz reporting say onko set to wapis milnay say rahaa.... aur shayaad POLICE bhi yehi chaahti hai k yaa to oski tasdeeq par hi set block houN takay onka chaii pani ka doosra raastah to kholay.... agar stolen set block honay lagay to oski income bhi to mari jati hai ... see below report:
last month sirf karachi maiN 39000 mobile phone cheenay gawe yaa chori howay. yeh sirf 'recorded' tadaad hai. jabkay aksar log mobile phone chinnay ki report hi darj nahee karwatay... agar 50% logouN nay bhi report karwayee ho (go k yeh tadaad bhi zeyadah lagti hai) to taqeeban 78000 phone cheenay gaye. agar austan etnay hi phone har maheenay cheenay gayee to sirf aik saal maiN 9,36000 yaani taqreeban one million phone cheenay gayee. agar har phone ki aust qeemat 4000 rs bhi laga lee jaye to goya aik saal maiN chaar arab rupee k phone cheenay gayee. agar chaar hazaar ka chori kia gaya phone aik hazaar maiN bhi farokht howa to sirf iss aik mad maiN aik saal maiN aik arab rupees hasil howay.
gya sirf mobile phole cheennay ki waardaatouN say phone chennay walouN, onkay sar parastouN ko har saal kam az kam aik arab rupees hasil horahay thay.
khan_amer
Oct 3 2006, 04:20 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 3 2006, 06:13 AM) [snapback]2186418[/snapback]
gya sirf mobile phole cheennay ki waardaatouN say phone chennay walouN, onkay sar parastouN ko har saal kam az kam aik arab rupees hasil horahay thay.
hummmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm
tu issi liya Police ka bhi iss maiN hisa rakhnay key gunjaish paida ker dee gayee hay
CoOl LeO
Oct 4 2006, 02:29 AM
Very informative post thnx 4 sharing this info with us
Abu Adnan
Oct 4 2006, 07:41 AM
QUOTE(khan_amer @ Oct 3 2006, 04:20 PM) [snapback]2186605[/snapback]
hummmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm tu issi liya Police ka bhi iss maiN hisa rakhnay key gunjaish paida ker dee gayee hay
abhi to log baray josh o kharosh say mobile cheenay jaanay ki FIR darj karwarahay haiN. sirf pahlay roz karachi maiN 300 aur 2nd day 200 FIR darj howeeN ... mobile owners ko kia pata k onkay stolen set block howay yaa naheeN PTA / CPLC jab yeh FIRs police k hawalay karegi aur policia mobiles owners k ghar pahonchay ga:
chan makhna ... das keRa phone gawacha ... kinnay da lia see .... tay set dee raseed hai gee teray kol k chooTi FIR darj karwayee see saDDay business partners day khelaaf ... O' chal zara thanay shaanay .... zara karwayee tay paiyyeh....... tay fair pata lag waiseeeeeeeeeeeee
Abu Adnan
Oct 4 2006, 09:49 AM
KHAL NAYAK
Oct 9 2006, 12:56 AM
yeah nizam bhi fail ho chuka hay or is per bhi kafi stories chal chuki hain jo yahan post nahi hoi hain.
fail honay ki wajah yeah hay kay. market mian buhat say asy software hain jo block sets ko re-open kartay hain.is batt ka ilm un logon ko hay, jo bahar mumalik say sets latay hain.
IMEI number say lock kiye gaye phones ko open karnay ka kam kafi arsay say karachi or pakistan kay dosray sehroon mian kafi arsay say ho raha hay. balkay ab tu kuch websites bhi hain jin ko use kartay howa app yeah kam ghar baith kar bhi kar saktay hain.
Thirsty Sea
Oct 9 2006, 06:56 AM
If i lost my cell phone or some body stoled it, i will never block it If i cant use my cell ne more, so let ne one else use it... block karnay ka faida ?
Abu Adnan
Oct 9 2006, 08:21 AM
QUOTE(KHAL NAYAK @ Oct 9 2006, 12:56 AM) [snapback]2188948[/snapback]
yeah nizam bhi fail ho chuka hay or is per bhi kafi stories chal chuki hain jo yahan post nahi hoi hain.
fail honay ki wajah yeah hay kay. market mian buhat say asy software hain jo block sets ko re-open kartay hain.is batt ka ilm un logon ko hay, jo bahar mumalik say sets latay hain.
IMEI number say lock kiye gaye phones ko open karnay ka kam kafi arsay say karachi or pakistan kay dosray sehroon mian kafi arsay say ho raha hay. balkay ab tu kuch websites bhi hain jin ko use kartay howa app yeah kam ghar baith kar bhi kar saktay hain.
u r rite ... yehi wajah hai k cell phone cheenay janay ki tadaad maiN aik feesad bhi kami nahee howee....
QUOTE(Thirsty Sea @ Oct 9 2006, 06:56 AM) [snapback]2188999[/snapback]
If i lost my cell phone or some body stoled it, i will never block it If i cant use my cell ne more, so let ne one else use it... block karnay ka faida ?
ab to koi faidah naheeNNN.........
waisay agar khoda nah khaastah aap k ghar chori ya dakaity waghairah hojaye tab bhi aap chorouN k khaelaaf FIR darj naheeN karwa'engay.... bhai aap ki cheez to gayee jo milnay say rahi ... ab chorouN ko tang karnay say faidah
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.