QUOTE(~Saraj~ @ Oct 2 2006, 07:35 AM) [snapback]2185991[/snapback]
yeh ek acha mansoba bhi bad nazmi aur un disciplined tareqey se laaunch kya ghya hey aur KHI ki shehri Govt ko kafi etrazat heyn iss ke barey meyn...
Lets c what happend..hope for the best
Hamaray mulk maiN mansoobay baad maiN shoroo hotay haiN un per aitrazaat pehlay aa jatay haiN

aur phir ham kehtya haiN kay govt. kuch bhi nahi ker rahee...
bhai jee agr Emaar walay in Islands ko develop ker daytay haiN tu Long-run hamara hi faida hay... kay hamara hi mulk ka eak hisa develop ho raha hay.
Motorway projects bhi inhi aitraazaat key wajah itna late howa aur uss key lagat almost double ho gayee.... asal maiN hamaray yahaN kuch logoooN aur tu kuch aata nahi iss liya unhooN nay yeh TheKa lay rakha hay kay govt jab bhi koy development ka kaam karay gee tu khabrooN maiN in rehnay kay liya koy na koy aitraaz jaR daiN gay...