In The Line Of Fire
Aik Tajziyaa (Mokh’tasir’an)
Aik Tajziyaa (Mokh’tasir’an)
2 din pehlay Musharaf sahib ki kitab Parhne ka ittifaq hoa (ittifaq bhi kyoon, yoon samjiye kitab ke itne charchay ho rahay thay tu main ne soocha main bhi dekh hi loon ke mohtaram ne kiya likha hai), Baqool-e-Mehmood Shaam (Jung ke qalim nigar) “Jab sarbara’han-e-mumliqat kitabain likhne par Aa jayeen tu Ehal-e-Qalim kiya karain gay ke jin ka guzara hi kitaboun par hai”
Muje kitab parh kar yeh mehsoos hoa ke jaise Musharaf sahib ne Sha’ori toor par kitab Amrica aur Maghrib ke liye likhi hai halan’ke kitab tu sari duniya main sabhi parhain gay aura nay wali nisalain bhi …….
Kitab main tehqeeq-0-tasdeeq ka pehlo kam milta hai jabke suni sunayii baton aur waqiyat ko khoob morat’tub kiya gaya hai
Kitab main yeh tak mana gaya hai ke Muslim League (Qaaf) sarkari toor par tashkeel di gayi hai jo ke fouji sarbarah ki hasiyet say Halff ki khul’li khilaf warzi hai (khair inhoon ne half ki pas’dari ki bhi kab hai)
Kitab main guzishta tamam wozra-e-azim aur rehnamaoun ko kafi tanqeed ka nishana banaya gaya hai, lekin iss say tu kuch khaas faraq nahi parta haaan faraq iss say zaroor parta hai ya paray ga ke qoumi amor aur mulki salmiyet say motaliq jo batain ki gayi hain unn say mulki wahdaniyet ko nuqsan bhi pohench sakta hai……….
Kitab main janab-e-musharaf ne apne Mo’aashqoon ka zikar bhi kiya hai aur inki shadi aur khandan say motaliq amoor kafi dilchasp hain ……. Aur iss baat ne tu muje Warta-e-heerat main mubtala kar diya ke meri walida aur walid bohut achay dancers thay (ab wo yeh Johar kahaan karte thay ya dekhate thay iss sawal ka jawab daine say kitab bhi Qa’asir hai)
Kitab main jahaan jahaan apna zikar kiya hai (murad parviz sahib say hai) waheen par khud Sata’ishhi say kaam liya gaya hai lekin aik baat jiss ne muj sameet sab ko pareshaan-0-heeran kar diya hai wo yeh hai ke……….
Kiya Richard Armitage ki dhamki ka koyi aur mo’asir jawab na tha ??? aur itni bari baat ke “Paskistan par Bamb’bari kar ke usse pather ke doour main dhakaail dain gay” is ka kiya kya gaya !!!!!! (kiya Pakistan itna hi Tar’niwala tha / hai) kiya sirf yeh hoa ke sab motalibat tasleem kar liye gaye aur naam laga diya Director Jornal MEHMOOD ka ??
Aik aur eham baat jo meri nazar say guzri wo yeh hai ke jahaan jahaan baat Pakistan aur Pakistani logoun say motaliq hai wahaan tu Ba’qayeda naam likhay gaye hain bina kisi jijhak ke aur jahaan kisi bhi aur ka zikar hai wahaan aksir namoun ko qasdun choor diya gaya hai sirf ishh’share hain (yeh baat tu aap bhi jante hi hain ke Ishh’sharay kana’yoon main jo baat ho usska koyi sabot nahi hota)
Musharaf sahib ko bachpan say hi sharartoun ka shooq tha jaise class main bomb phorna (waghera) aur mazay ki baat yeh hai key eh shooq ab tak qayem hi hai (sharartoun ka) (Kitab bhi kisi bomb say kam tu nahi hai)
Kitab kholte hi jo pehli baat aap mehsoos karain gay wo yeh hai ke Kitab kisi Likhari ne nahi balke kisi ARMY MAN ne likhi hai aur shayed sahi kehte hain kea b ARMY main ARMY tu reh gaye hai “MAN” ka pata chalana paray ga wo kidher gaya..............